فراق
تلاش گوشۂ عزلت ميں پھر رہا ہوں ميں
يہاں پہاڑ کے دامن ميں آ چھپا ہوں ميں
شکستہ گيت ميں چشموں کے دلبری ہے کمال
دعائے طفلک گفتار آزما کی مثال
ہے تخت لعل شفق پر جلوس اختر شام
بہشت ديدۂ بينا ہے حسن منظر شام
سکوت شام جدائی ہوا بہانہ مجھے
کسی کی ياد نے سکھلا ديا ترانہ مجھے
يہ کيفيت ہے مری جان ناشکيبا کی
مری مثال ہے طفل صغير تنہا کی
اندھيری رات ميں کرتا ہے وہ سرود آغاز
صدا کو اپنی سمجھتا ہے غير کی آواز
يونہی ميں دل کو پيام شکيب ديتا ہوں
شب فراق کو گويا فريب ديتا ہوں
---------------
Transliteration
Firaq
Talash-e-Gosha-e-Uzlat Mein Phir Raha Hun Main
Yahan Pahar Ke Daman Mein Aa Chupa Hun Main
Shikasta Geet Mein Chashmon Ke Dilbari Hai Kamal
Dua-e-Tiflik-e-Guftar Azma Ki Misal
Hai Takht-e-La'al-e-Shafaq Par Jaloos-e-Akhtar-e-Sham
Behisht-e-Didah-e-Beena Hai Husn-e-Manzar-e-Sham
Sukoot-e-Sham-e-Judai Huwa Bahana Mujhe
Kisi Ki Yaad Ne Sikhla Diya Tarana Mujhe
Ye Kaifiat Hai Meri Jaan-e-Na-Shakiba Ki
Meri Misal Hai Tifl-e-Sagheer-e-Tanha Ki
Andheri Raat Mein Karta Hai Woh Surood Aaghaz
Sada Ko Apni Samajhta Hai Ghair Ki Awaz
Yunhi Mein Dil Ko Payam-e-Shakeeb Deta Hun
Shab-e-Firaq Ko Goya Faraib Deta Hun