نوائے غم
زندگانی ہے مری مثل رباب خاموش
جس کی ہر رنگ کے نغموں سے ہے لبريز آغوش
بربط کون و مکاں جس کی خموشی پہ نثار
جس کے ہر تار ميں ہيں سينکڑوں نغموں کے مزار
محشرستان نوا کا ہے اميں جس کا سکوت
اور منت کش ہنگامہ نہيں جس کا سکوت
آہ! اميد محبت کی بر آئی نہ کبھی
چوٹ مضراب کی اس ساز نے کھائی نہ کبھی
مگر آتی ہے نسيم چمن طور کبھی
سمت گردوں سے ہوائے نفس حور کبھی
چھيڑ آہستہ سے ديتی ہے مرا تار حيات
جس سے ہوتی ہے رہا روح گرفتار حيات
نغمہ ياس کی دھيمی سی صدا اٹھتی ہے
اشک کے قافلے کو بانگ درا اٹھتی ہے
جس طرح رفعت شبنم ہے مذاق رم سے
ميری فطرت کی بلندی ہے نوائے غم سے
-------------
Transliteration
Nawa-e-Gham
Zindagaani Hai Meri Misl-e-Rubab-e-Khamosh
Jis Ki Har Rang Ke Naghmon Se Hai Labraiz Aghosh
Barbat-e-Kon-o-Makan Jis Ki Khamoshi Pe Nisar
Jis Ke Har Taar Mein Hain Saikrhon Naghmon Ke Mazar
Mehsharistan-e-Nawa Ka Hai Ameen Jis Ka Sukoot
Aur Minnat Kash-e-Hangama Nahin Jis Ka Sukoot
Aah! Umeed Mohabbat Ki Bar Ayi Na Kabhi
Chot Mizrab Ki Iss Saaz Ne Khayi Na Kabhi
Magar Ati Hai Naseem-e-Chaman-e-Toor Kabhi
Simat-e-Gurdoon Se Hawaye Nafas-e-Hoor Kabhi
Chair Ahista Se Deti Hai Mera Taar-e-Hayat
Jis Se Hoti Hai Riha Rooh-e-Graftar-e-Hayat
Naghma-e-Yaas Ki Dheemi Si Sada Uthti Hai
Ashak Ke Qafle Ko Bang-e-Dra Uthti Hai
Jis Tarah Riffat-e-Shabnam Hai Mazaq-e-Ram Se
Meri Fitrat Ki Bulandi Hai Nawaye Gham Se