Menu

A+ A A-

جلوۂ حسن

 

جلوہ حسن کہ ہے جس سے تمنا بے تاب
پالتا ہے جسے آغوش تخيل ميں شباب
ابدی بنتا ہے يہ عالم فانی جس سے
ايک افسانہ رنگيں ہے جوانی جس سے
جو سکھاتا ہے ہميں سر بہ گريباں ہونا
منظر عالم حاضر سے گريزاں ہونا
دور ہو جاتی ہے ادراک کی خامی جس سے
عقل کرتی ہے تاثر کی غلامی جس سے
آہ! موجود بھی وہ حسن کہيں ہے کہ نہيں
خاتم دہر ميں يا رب وہ نگيں ہے کہ نہيں

 

------------

 

Transliteration

 

Jalwa-e-Husn

Jalwa-e-Husn Ke Hai Jis Se Tamanna Be-Taab
Palta Hai Jise Aghosh-e-Takhiyyul Mein Shabab

 

 

Abdi Banta Hai Ye Alam-e-Fani Jis Se
Aik Afsana-e-Rangeen Hai Jawani Jis Se

 

Jo Sikhata Hai Humain Sar Ba Gireban Hona
Manzar-e-Alam-e-Hazir Se Gurezan Hona


Door Ho Jati Hai Adraak Ki Khaami Jis Se
Aqal Karti Hai Taasar Ki Ghulami Jis Se


Aah! Moujood Bhi Woh Husn Kahin Hai Ke Nahin
Khatam-e-Dehr Mein Ya Rab Woh Nageen Hai Ke Nahin

 

 

Dervish Designs Online

IQBAL DEMYSTIFIED - Andriod and iOS