طلبۂ علی گڑھ کالج کے نام
اوروں کا ہے پيام اور ، ميرا پيام اور ہے
عشق کے درد مند کا طرز کلام اور ہے
طائر زير دام کے نالے تو سن چکے ہو تم
يہ بھی سنو کہ نالۂ طائر بام اور ہے
آتی تھی کوہ سے صدا راز حيات ہے سکوں
کہتا تھا مور ناتواں لطف خرام اور ہے
جذب حرم سے ہے فروغ انجمن حجاز کا
اس کا مقام اور ہے ، اس کا نظام اور ہے
موت ہے عيش جاوداں ، ذوق طلب اگر نہ ہو
گردش آدمی ہے اور ، گردش جام اور ہے
شمع سحر يہ کہہ گئی سوز ہے زندگی کا ساز
غم کدۂ نمود ميں شرط دوام اور ہے
بادہ ہے نيم رس ابھی ، شوق ہے نارسا ابھی
رہنے دو خم کے سر پہ تم خشت کليسيا ابھی
-------------
Transliteration
Talba-e-Ali Garh College Ke Naam
Auron Ka Hai Payam Aur, Mera Payam Aur Hai
Ishq Ke Dardmand Ka Tarz-e-Kalaam Aur Hai
Taair-e-Zair-e-Daam Ke Naale Tu Sun Chukke Ho Tum
Ye Bhi Suno Ke Nala-e-Tair-e-Baam Aur Hai
At Thi Koh Se Sada Raaz-e-Hayat Hai Sukoon
Kehta Tha Moor-e-Natwan Lutf-e-Kharaam Aur Hai
Jazb-e-Haram Se Hai Farough Anjuman-e-Hijaz
Iss Ka Maqam Aur Hai, Iss Ka Nizam Aur Hai
Mout Hai Aysh-e-Javidan, Zuaq-e-Talab Agar Na Ho
Gardish-e-Adami Hai Aur, Gardish-e-Jaam Aur Hai
Shama-e-Sehar Ye Keh Gyi Souz Hai Zindagi Ka Saaz
Ghamkuda-e-Namood Mein Shart-e-Dawam Aur Hai
Badah Hai Neem Ras Abhi, Shuaq Hai Na-Rasa Abhi
Rehne Do Khum Ke Sar Pe Tum Khisht-e-Kaleesiya Abhi