نہ مجھ سے کہہ کہ اجل ہے پيام عيش و سرور
نہ کھينچ نقشہ کيفيت شراب طہور
فراق حور ميں ہو غم سے ہمکنار نہ تو
پری کو شيشہ الفاظ ميں اتار نہ تو
مجھے فريفتہ ساقی جميل نہ کر
بيان حور نہ کر ، ذکر سلسبيل نہ کر
مقام امن ہے جنت ، مجھے کلام نہيں
شباب کے ليے موزوں ترا پيام نہيں
شباب ، آہ! کہاں تک اميدوار رہے
وہ عيش ، عيش نہيں ، جس کا انتظار رہے
وہ حسن کيا جو محتاج چشم بينا ہو
نمود کے ليے منت پذير فردا ہو
عجيب چيز ہے احساس زندگانی کا
عقيدہ 'عشرت امروز' ہے جوانی کا
--------------
Transliteration
Ishrat-e-Amroz
Na Mujh Se Keh Ke Ajal Hai Payam-e-Aysh-o-Suroor
Na Khainch Naqsha-e-Kafiat-e-Sharab-e-Tahoor
Firaaq-e-Hoor Mein Ho Gham Se Humkinar Na Tu
Pari Ko Shisha-e-Alfaz Mein Utar Na Tu
Mujhe Fareefta-e-Saqi-e-Jameel Na Kar
Byan-e-Hoor Na Kar, Zikr-e-Salsbeel Na Kar
Maqam-e-Aman Hai Jannat, Mujhe Kalam Nahin
Shabab Ke Liye Mouzun Tera Payam Nahin
Shabab, Aah ! Kahan Tak Umeedwar Rahe
Woh Aysh, Aysh Nahin, Jis Ka Intizar Rahe
Woh Husn Kya Ke Jo Mouhtaj-e-Chashm-e-Beena Ho
Namood Ke Liye Minnat Pazeer-e-Farda Ho
Ajeeb Cheez Hai Ehsas Zindagi Ka
Aqeedah ‘Ishrat-e-Amroz’ Hai Jawani Ka