کشادہ دست کرم جب وہ بے نياز کرے
- Parent Category: (با نگ درا(حصہ اول
- Hits: 131609
- Print , Email
کشادہ دست کرم جب وہ بے نياز کرے
نياز مند نہ کيوں عاجزی پہ ناز کرے
بٹھا کے عرش پہ رکھا ہے تو نے اے واعظ
خدا وہ کيا ہے جو بندوں سے احتراز کرے
مری نگاہ ميں وہ رند ہی نہيں ساقی
جو ہوشياری و مستی ميں امتياز کرے
مدام گوش بہ دل رہ ، يہ ساز ہے ايسا
جو ہو شکستہ تو پيدا نوائے راز کرے
کوئی يہ پوچھے کہ واعظ کا کيا بگڑتا ہے
جو بے عمل پہ بھی رحمت وہ بے نياز کرے
سخن ميں سوز ، الہی کہاں سے آتا ہے
يہ چيز وہ ہے کہ پتھر کو بھی گداز کرے
تميز لالہ و گل سے ہے نالۂ بلبل
جہاں ميں وا نہ کوئی چشم امتياز کرے
غرور زہد نے سکھلا ديا ہے واعظ کو
کہ بندگان خدا پر زباں دراز کرے
ہوا ہو ايسی کہ ہندوستاں سے اے اقبال
اڑا کے مجھ کو غبار رہ حجاز کرے
----------------
TRansliteration
Kushada Dast-e-Karam Jab Woh Be-Niaz Kare
Niazmand Na Kyun Ajazi Pe Naaz Kare
Bitha Ke Arsh Pe Rakha Hai Tu Ne Ae Waaiz!
Khuda Woh Kya Hai Jo Bandon Se Ehtraz Kare
Meri Nigah Mein Woh Rind Hi Nahin Saqi
Jo Hoshiyari-o-Masti Mein Imtiaz Kare
Madaam Gosh Ba Dil Reh, Ye Saaz Hai Aesa
Jo Ho Shikasta To Paida Nawa-e-Raaz Kare
Koi Ye Puche Ke Waaiz Ka Kya Bigarta Hai
Jo Be-Amal Pe Bhi Rehmat Woh Be-Niaz Kare
Sukhan Mein Souz, Elahi Kahan Se Ata Ha
Ye Cheez Woh Hai Ke Pathar Ko Bhi Gudaz Kare
Tameez-e-Lala-o-Gul Se Hai Nala-e-Bulbul
Jahan Mein Wa Na Koi Chashm-e-Imtiaz Kare
Ghuroor-e-Zuhd Ne Shikhla Diya Hai Waaiz Ko
Ke Bandgan-e-Khuda Par Zuban Daraz Kare
Hawa Ho Aesi Ke Hindustan Se Ae Iqbal
Ura Ke Mujh Ko Ghubar-e-Rah-e-Hijaz Kare