Logo

جنھيں ميں ڈھونڈتا تھا آسمانوں ميں زمينوں ميں

 

 

 
جنھيں ميں ڈھونڈتا تھا آسمانوں ميں زمينوں ميں
وہ نکلے ميرے ظلمت خانہ دل کے مکينوں ميں
حقيقت اپنی آنکھوں پر نماياں جب ہوئی اپنی
مکاں نکلا ہمارے خانہ دل کے مکينوں ميں
اگر کچھ آشنا ہوتا مذاق جبہہ سائی سے
تو سنگ آستاں کعبہ جا ملتا جبينوں ميں
کبھی اپنا بھی نظارہ کيا ہے تو نے اے مجنوں
کہ ليلی کی طرح تو خود بھی ہے محمل نشينوں ميں
مہينے وصل کے گھڑيوں کی صورت اڑتے جاتے ہيں
مگر گھڑياں جدائی کی گزرتی ہيں مہينوں ميں
مجھے روکے گا تو اے ناخدا کيا غرق ہونے سے
کہ جن کو ڈوبنا ہو ، ڈوب جاتے ہيں سفينوں ميں
چھپايا حسن کو اپنے کليم اللہ سے جس نے
وہی ناز آفريں ہے جلوہ پيرا نازنينوں ميں
جلا سکتی ہے شمع کشتہ کو موج نفس ان کی
الہی! کيا چھپا ہوتا ہے اہل دل کے سينوں ميں
تمنا درد دل کی ہو تو کر خدمت فقيروں کی
نہيں ملتا يہ گوہر بادشاہوں کے خزينوں ميں
نہ پوچھ ان خرقہ پوشوں کی ، ارادت ہو تو ديکھ ان کو
يد بيضا ليے بيٹھے ہيں اپنی آستينوں ميں
ترستی ہے نگاہ نا رسا جس کے نظارے کو
وہ رونق انجمن کی ہے انھی خلوت گزينوں ميں
کسی ايسے شرر سے پھونک اپنے خرمن دل کو
کہ خورشيد قيامت بھی ہو تيرے خوشہ چينوں ميں
محبت کے ليے دل ڈھونڈ کوئی ٹوٹنے والا
يہ وہ مے ہے جسے رکھتے ہيں نازک آبگينوں ميں
سراپا حسن بن جاتا ہے جس کے حسن کا عاشق
بھلا اے دل حسيں ايسا بھی ہے کوئی حسينوں ميں
پھڑک اٹھا کوئی تيری ادائے 'ما عرفنا' پر
ترا رتبہ رہا بڑھ چڑھ کے سب ناز آفرينوں ميں
نماياں ہو کے دکھلا دے کبھی ان کو جمال اپنا
بہت مدت سے چرچے ہيں ترے باريک بينوں ميں
خموش اے دل! ، بھری محفل ميں چلانا نہيں اچھا
ادب پہلا قرينہ ہے محبت کے قرينوں ميں
برا سمجھوں انھيں مجھ سے تو ايسا ہو نہيں سکتا
کہ ميں خود بھی تو ہوں اقبال اپنے نکتہ چينوں ميں
 
-----------------
 
 
Transliteration
 
inhain Mein Dhondta Tha Asmanon Mein Zameenon Mein
Woh Nikle Mere Zulmat Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein
Haqiqat Apni Ankhon Par Namayan Jab Huwi Apni
Makan Nikla Humare Khana-e-Dil Ke Makeenon Mein


Agar Kuch Ashana Hota Mazaq-e-Jaba-Sayi Se
To Sang-e-Astan-e-Kaaba Ja Milta Jabeenon Mein


Kabhi Apna Bhi Nazara Kiya Hai Tu Ne Ae Majnoon
Ke Laila Ki Tarah Tu Bhi Hai Mehmil Nasheenon Mein


Mahine Wasl Ke Ghariyon Ki Soorat Urte Jate Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzerti Hain Mahinon Mein


Mujhe Roke Ga Tu Ae Na-Khuda Kya Gharaq Hone Se
Ke Jin Ko Doobna Ho, Doob Jate Hain Safeenon Mein


Chupaya Husn Ko Apne Kaleem-Ullah Se Jis Ne
Wohi Naz Afreen Hai Jalwa Pera Naaz Neenon Mein



Jala Sakti Hai Shama-e-Kushta Ko Mouj-e-Nafas In Ki
Elahi! Kya Chupa Hota Hai Ahl-e-Dil Ke Seenon Mein


Tamanna Dard-e-Dil Ki Ho To Kar Khidmat Faqeeron Ki
Nahin Milta Ye Gohar Badshahon Ke Khazeenon Mein


Na Puch In Kharqa Poshon Ki, Iradat Ho To Dekh In Ko
Yad-e-Baiza Liye Baithe Hain Apni Asteenon Mein


Tarasti Hai Nigah-e-Narsa Jis Ke Nazare Ko
Woh Ronaq Anjuman Ki Hai Inhi Khalwat Guzinon Mein


Kisi Aese Sharar Se Phoonk Apne Kharman-e-Dil Ko
Ke Khursheed-e-Qayamat Bhi Ho Tere Khosha Cheenon Mein
Mohabbat Ke Liye Dil Dhoond Koi Tootne Wala
Ye Woh Mai Hai Jise Rakhte Hain Nazuk Abgeenon Mein


Sarapa Husn Ban Jata Hai Jis Ke Husn Ka Ashiq
Bhala Ae Dil Haseen Aesa Bhi Hai Koi Haseenon Mein


Pharak Utha Koi Teri Adaye ‘MA ARAFNA’ Par
Tera Rutba Raha Barh Charh Ke Sub Naaz Afreenon Mein


Namayan Ho Ke Dikhla De Kabhi In Ko Jamal Apna
Bohat Muddat Se Cherche Hain Tere Bareek Beenon Mein


Khamosh Ae Dil! Bhari Mehfil Mein Chillana Nahin Acha
Adab Pehla Qareena Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein


Bura Samajhun Inhain, Mujh Se To Aesa Ho Nahin Sakta
Ke Main Khud Bhi To Hun Iqbal Apne Nukta Cheenon Mein
Website Version 4.0 | Copyright © 2009-2016 International Iqbal Society (formerly DISNA). All rights reserved.